Sunday 18 September 2016

Self introduction in Hindi

मेरे इस ब्लोग को बनाने का उद्देश्य जाने।
Free Computer and Internet shiksah
Free Computer and Internet shiksah
Hi Mera Naam Parveen kumar Hai. Mene bahut se logo ko dekha hai jo ki bhut pade likhe ho  kar bhi kamyab nahi hote hai. iska sabse bada Reason hota hai un ka self confidence ka low hona. aaj ke time me computer or Internet Har ek aadmi ki jarurat ban gaye hai. or bahut se logo ka ye maanana hai ki computer or Internet hum nahi chala sakte hai ye in ko sirf jyda pade likhe hi chala sakte hai ve log jyada to nahi hai lekin jitane bhi hai un ko m batana chahta hu ki ye muskil nahi hai. jyada tar vo log village ke hote hai me un ko bata deta hu aap bhi achhi tarh se computer or Internet chala sakte hai bahut achhe se aap internet ko chala sakte hai yaha tak jo jyada pade likhe nahi hai vo bhi aasani se In ko chala sakte hai bina kisi paresani ke. So. me ye blog likh raha hu is blog ke madhyam se me logo ko Computer or Internet ke baare me Information free me duna jish ko vo aasani se samaj sake or Sikh sake. isliye aap blog ko Follow kare or friends ke sath social media sites par share kare or comment kare jish se hume pata chale ki Post se logo ko kya fayda ho raha hai.
Computer Sikhne ke Fayde
1.       Aap  Typing ke work aasani se kar sakte hai jese  Letter type karna etc.
2.       Aap aasani se Internet Chala sakte ho.
3.       Aap chahe to Company me Job kar sakte hai.
4.        Photo and Panting  aasani se Create kar sakte hai.
5.       Aap apne bacho ko bhi computer sikha sakte ho jish se une bhavish me is paresani ka samna na karna pade. ese hi aap bahut sare work apne aap kar sakte ho jo ki jare kaamo ko me vistar se nahi likh sakta hu.
Internet Sikhne ke Fayde
1.       Aap Gmail ka use kar sakte ho jo ki aap ko free me mail karne ki services deta hai.
2.       Aap internet se Akhbar  pad(Read) sakte hai.
3.       Aap Ghar bethe Electricity ka bill Pay kar sakte h.
4.       Aap Online Shopping Kar sakte ho.
5.       Ab to aap Online Paise bhi Kama (Earn) Kar sakte hai vo Bhi Ghar Bêthe-Bethe.
6.       Aap online Friends Bhi Bana sakte hai Facebook par ya fir author Social sites par.
Ese hi aap Bahut se kaam Badi aasani se kar sakte hai internet or Computer ki Sahayta (Help) se.
Note:-
 Sirf aap logo ki Help ke liye hune ye blog banaya hai. Bhut se logo English Padne or Samjane me kafi dikate aati hi is liye hum is Blog Par hindi me Type karte hai. Hamare is blog ka Maatar ek hi udesh hai nisulk(Free) me logo ko Sikhana. so is liye blog ko follow kare share or Comment kare.Thank you.


No comments:

Post a Comment